Breathless Lyrics by Shankar Mahadevan is a popular Hindi song from the album “Breathless” song sung by popular artist Shankar Mahadevan. Lyrics of this song are written by Javed Akhtar and music given by Shankar Mahadevan.
Breathless Song Details
Singer : Shankar Mahadevan
Album : Breathless
Lyrics : Javed Akhtar
Music : Shankar Mahadevan
Breathless Lyrics
Koi jo mila to mujhe aesa lagta tha
Jaise meri sari dunia mein geeto ki rut
Aur rango ki barkha hai, khusboo ki aandhi hai
Mehki hui si ab sari fizayein hai
Behki hui si ab sari hawayein hai
Khoi hui si ab sari dishayein hai
Badli hui si ab sari adayein hai
Jagi umangein hai, dhadak raha hai dil
Sanson mein tufaan hai, hothon pe nagme hai, aankho me sapne hai
Sapno me beete huye, sare wo lamhe hai
Jab koi aaya tha, nazron pe chhaya tha, dil me samaya tha
Kaise mai batau tumhe, kaisa usse paya tha
Pyare se chehre pe bikhri jo zulfein
To aisa lagta tha jaise bhawre ke piche ek
Os me dhula huya, phul khila hai
Jaise badal me ek chand chupa hai, aur jhak raha hai
Jaise raat ke parde mein ek savera hai roshan-roshan
Aankhon mein sapno ka sagar
Jismeim prem sitaro ki chadar jaise jhalak rahi hai
Lahro-lahro baat kare wo jaise moti barse
Jaise kahi chandi ki payal goonjein
Jaise kahi shishe ke jaam gire aur chhan se toote
Jaise koi chhip ke sitaar bajaye
Jaise koi chandani raat mein gaaye
Jaise koi haule se paas bulaye
Kaisi mithi baatein thi wo, kaisi mulakatein thi wo
Jab maine jana tha, najro se kaise pighalte hai dil
Aur aarzu pati hai kaise manzil
Aur kaise utarta hai chand zameen par
Kaise kabhi lagta hai swarg agar hai to bas hai yahi par
Usne bataya mujhe aur samjhaya mujhe
Hum jo mile hai, humein aise hi milna tha
Gul jo khile hai, unhe aise hi khilna tha
Janmo ke bandhan, janmo ke rishte hai
Jab bhi hum janmein, to hum yu hi milte hai
Kano me mere jaise shahad se ghulne lage
Khwaabon ke par jaise aankho me ghulne lage
Khwaabon ki dunia bhi kitni hasi, aur kaisi rangin thi
Khwaabo ki dunia jo kehne ko thi, par kahi bhi nahi thi
Khwaab jo tute mere, aankh jo khuli meri
Hosh jo aaya mujhe, maine dekha, maine jana
Wo jo kabhi aaya tha, nazron pe chaya tha, dil mein samaya tha
Ja bhi chuka hai aur dil mera hai ab tanha-tanha
Na to koi arman hai, na koi tamanna hai aur na koi sapna hai
Ab jo mere din aur ab jo meri raatein hai
Unmein sirf aansu hai
Unmein sirf dard ki, ranj ki baate hai, aur fariyade hai
Mera ab koi nahi
Main hu aur khoye huye, pyaar ki yaadein hai
Main hu aur khoye huye, pyaar ki yaadein hai
Main hu aur khoye huye, pyaar ki yaadein hai